Saturday, August 22, 2015

Talisman for Husband & Wife Love


Mia biwi ka rishta bohat nazok rishta hota hai, zara see mamoli baat par hasta khelta khushio say bhara jannat jesa ghar jehnom ban jata hai, jahan gehri muhabat hogi wahan shak, weham, bay boniad wiswisay zaror janam lay letay hain, iskay ilawa hasad karnay walay log jo nahi chahatay kay mia biwi apas mein khush rahain onka ghar abad rahai aysay ghatia log gidh ki tarah apni nazaray onpar jamai rakhtay hain kay kab on mein judai parti hai kab onka ghar totta hai, yeh hasad karnay walay dushman log apnay bhi hosaktay hain aur gayr bhi yeh apni taraf say har mumkin koshish kartay hain, kala jadu karwana, idhar odhar ki baat karna, gebat karna, shak aur weham mein dalnay wali ghatia batain karna wagayra takay mia biwi mein nafrat hojay sakt, iskay ilawa aysa bad asrat bhi hotay hain jis mein biwi mia dono par sakt kisam ki bandish par jati hai woh dono apna rishta kaim rakhnay ki har mumkin koshish kartay hain lekin phir koi na koi aysi baat apnay aap hojati hai kay woh muhabat sakt nafrat mein badal jati hai aur woh dono dushmano ki tarah hojatay hain, kuch to divorce aak dosray ko day kar juda hojatay hain aur kuch masom bachon ki waja say aysa nahi kar patay aur onki zindagi aysi hojati hai kay bahir har jaga onko sukon milta hai aur apna khud ka ghar onko qaid khanay jesa lagta hai jahan churail jesi biwi ya hitler jesa shohar hota hai, yeh aak rohani masael hai jiska hal rohani ilaj say mumkin hai, magar afsos humaray ird gird aysay ghatia shaitan sifat log hain jinhonay aamil ka rop akhtiar kia hua hai jo logon ko ilm aur rohani ilaj kay nam par dhoka detay hain, yahi log aab net par bhi har jaga cha ghay hain jo apni asal identity chopa kay rakhtay hain aur apni photo tak share nahi kartay, yeh rohani ilaj kay nam par parayshan logon ka najaiz faida otha kar onko lot rahai hain yeh dhokay baz shaitan sifat log jab kisi sachay ilm karnay walay ko net par dekhtay hain to hasad ki aag mein jalnay lagtay hain aur onkay mutalik galat batain net par phelana shoro kar detay hain, yeh kam aak shaitan kay siwa aur koi nahi kar sakta, kuo kay shaitan nahi chahai ga kay rohani mukhfi oloom aam hon aur logon ko is say faida hasil ho yeh oloom dunia say ghom hojay, log inko bhool jay, lekin inshAllah aysa kabhi nahi hoga, rohaniat ka chirag jo sadion say jalta raha hai osay koi bojha saka na os waqat aur na koi bojha sakay ga is waqat, meri dua hai kay Allah pak hum sab ko in shaitan sifat logon kay shar say panah mein rakhay (ameen),

Fraud, dokhay baz, jali peer wa jali aamil jesay ghatia logon ki waja say aaj kal jo parayshan log hain onka yakin aur bharosa kisi par nahi raha hai, onko agar koi sacha rohani oloom jannay wala aamil milta bhi hai to os say ilaj karwanay say pehlay kai batain zehan mein anay lagti hain kay kahin yeh fraud to nahi, ilaj kay nam par kahin humaray pesay to nahi kha jay ga? istarah ki kai sochay zehan mein aati hain, isi waja say meinay aab yeh naya blog banaya hai jahan free amliyat hongay sab kay liay jo har koi khud kar sakay kisi aamil ki zarorat osay pesh na ay, yeh amliyat sabi purani qadeem arabic ki kitabon say liay ghay hain, aur yeh amliyat 100% sahi aur azmoda hain, mein yahan sirf wahi amliyat share karon ga jo azmoda aur sahi hongay, aap ko jab amal kay baad faida hoto apnay is bhai ko zaror apni duaon mein yaad rakhiay ga,

Arabic ki qadeem kitab "Ser Al-Israr" mein likha hai kay mia biwi kay darmian pai janay wali nafrat, nachaki wa na itfaqi khatam karnay kay liay Jomay kay roz gosal kar kay nimaz e fajar ada karain, oskay baad kibla kay rokh ki taraf beth kar nehaet ikhlas kay sath yeh khas ibarat e amal ko zafran wa ark e gulab say likhain aur tawez bana kar mom jama karain, oskay baad bedroom mein jahan mia biwi sotay hon os bed kay takiay kay nechay chopa kar rakh dain, Olma e rohaniat Hakim Lawan Tarabalsi likhtay hain kay yeh rohani amal mia biwi ki muhabat kay liay nehaet mojrab hai, khuda kay fazal wa karam say dono kay darmian pai janay wali nafrat wa adawat dor hokar muhabat peda hojay gi.

Sharait e Amal: 
Yeh amal shohar biwi kay liay aur biwi apnay shohar kay liay kar sakti hai, opar image ki ibarat mein jahan قلب فلان ابن فلانة likha hai wahan kalab kay baad biwi ka nam oski walda kay nam kay sath likha jay agar yeh amal shohar biwi kay liay karay tab, agar yeh amal biwi shohar kay liay karay to shohar aur oski ma ka nam likha jay, for example istarah: قلب رفىيق ابن امينه oskay baad ibarat mein jahan كذا و كذا فى قلب كذا و كذا likha hai wahan husband aur oski ma ka nam aur biwi aur oski ma ka nam likha jay, for example istarah: رفىيق ابن امينه فى قلب  نسرين ابن خالده mein yahan ibarat e amal ki image dobara share kar raha hon jahan underline kia gaya hai takay aap ko samajnay mein asani ho,
Mazed malumat kay liay aap mujay e-mail muj say rabta kar kay poch saktay hain,
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com

InshAllah bohat jald new amal kay sath hazir honga.

                                            Ali